is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

daan kiye gaye paison ka istemal kaise kiya jaata hai?

prakashanon se bhara ek chhota box

prakashanon se bhara ek chhota box

1 sitambar, 2020

 aaj hum pehle se kahin zyada video aur digital prakashanon ka istemal kar rahe hain. lekin duniya ke kai hisson mein internet ki suvidha bahot mahangi hai. is vajah se hamare bhaai-behen internet ka recharge nahin kar paate hain. aur kuch jagah aisi hain, jahaan internet ki speed bahot dheemi hai ya fir hai hi nahin.

 in sabke baavjood hamare bahot-se bhaai-behen bina internet ke digital prakashan download kar paa rahe hain. magar yah kaise mumkin ho paa raha hai?

 yah JW box ki madad se ho paa raha hai. yah ek chhota-saa kit hai. is kit mein ek router hota hai, jo sanghathan ne ek company se khareeda hai. saath hi JW box ke andar ek software daala gaya hai, jise hamare bethel ke computer vibhag ne taiyar kiya hai. kai mandliyon mein jahaan internet ki suvidha bahot kharab hai ya na ke barabar hai, vahaan JW box uplabdh karaya jaa raha hai. is box ki madad se bhaai-behen digital prakashan aur video download kar paate hain, jo jw.org website par uplabdh hai. ek box ki keemat kareeb 5,500 rupaye (75 dollar) hai.

 hamare bhaai-behen raaj-ghar mein jaakar apne phone ya tablet ko wifi ke zariye JW box se jodte hain. fir woh prakashan aur video download kar paate hain. aur-to-aur jin bhaai-behenon ke phone ya tablet saadharan hain ya fir purane ho chuke hain woh bhi prakashan download kar sakte hain. lekin jis mandli mein internet ki suvidha nahin hai, vahaan is box mein naye prakashan kaise daale jaate hain? aise mein shaakha daftar samay-samay par pendrive bhejta hai, jismein nayi-nayi kitabein aur video hote hain. is pendrive ko JW box mein lagaya jaata hai. iski keemat kareeb 300 rupaye (4 dollar) hai.

 is box se hamare bhaaiyon ko kaise faayda ho raha hai? nathan adruandra naam ka ek pita jo congo loktaantrik ganrajya mein rehta hai, kuch is tarah kehta hai, “main kaafi samay se is drama ko download karne ki koshish kar raha tha, jiska vishay hai,‘hey yahova . . . mujhe tujh par bharosa hai’ aur‘loot ki patni ko yaad rakho.’  lekin bahot koshish karne par bhi main download nahin kar paa raha tha. magar ab mein JW box ki madad se in video ko apne phone mein download kar paa raha hoon. aur apne bachchon ko bhi achhi tarah sikha paa raha hoon.”

 hamara ek bhaai nigeria ki mandliyon ko JW box istemal karne mein madad karta hai. woh kehta hai, “hamare bhaai-behen is JW box ko yahova se mila ek anmol tohfa samajhte hain. woh behad khush hain ki ab woh badi aasani se prakashanon ke pitare se kitabein aur video download kar sakte hain.”

 sanghathan ne 1,700 se bhi zyada JW box kit afreeka, dakshin amreeka, australia aur prashaant mahasagar ke dveepon mein bheja hai. saath hi, ise aur bhi mandliyon mein bhejne ki taiyari chal rahi hai. sanghathan ne JW box kit ka jo intazam kiya hai, uska kharch kaise uthaya jaa raha hai? hamare bhaai-behen donate.dan124.com ke zariye “poori duniya mein honevale kaam ke liye” jo daan dete hain, usi se yah kaam ho paa raha hai. aapke dil se diye gaye daan ke liye hum bahot shukraguzar hain.