is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

sajag hoiye‍! ank 2 2018 | 12 sujhav aazmayen, apne parivar ko sukhi banayen

12 sujhav aazmayen, apne parivar ko sukhi banayen

aksar sunne mein aata hai ki falaan vyakti ne yah galti ki, jis vajah se uski shaadi toot gayi ya uska parivar bikhar gaya.

  • san 2011 aur 2015 ke beech bhaarat ke kuch shehron mein talak ki arziyaan dugni ho gayin, kuch shehron mein to teen guna badh gayin.

  • kuch jaankar maata-pitaon ko salah dete hain ki woh hardam bachchon ki taareef karein, to kuch kehte hain ki woh sakhti bartein. maata-pita uljhan mein rehte hain ki unhein kya karna chahiye.

  • bachche javani paar kar lete hain, lekin unhonne zindagi mein kaamyab hone ke liye koi hunar nahin seekha hota hai.

jaaniye ki aap kya kar sakte hain, taaki aapka parivar sukhi rahe . . .

  • aap apni shaadi ka bandhan mazboot kar sakte hain, taaki yah atoot rahe aur aapke jeevan mein khushiyaan laaye.

  • maata-pita apne bachchon ko pyar se sudhar sakte hain.

  • naujavan aise hunar seekh sakte hain, jo saari zindagi unke kaam aayenge.

aap yah kaise kar sakte hain? sajag hoiye! ke is ank mein aise 12 sujhav diye gaye hain, jinhein aazmane se aapka parivar sukhi ho sakta hai.

1: saath nibhane ka irada

pati-patniyon ke liye teen sujhav, jinhein aazmane se woh saath nibhane ka apna irada mazboot kar sakte hain.

2: milkar kaam karne ka jazba

kya aap pati-patni ek hi chhat ke neeche ajnabiyon ki tarah reh rahe hain?

3: izzat

jaaniye ki aapko apne saathi se kaisi baatein karni chahiye aur kaisa vyavhar karna chahiye jisse use ehsas ho ki aap uska aadar karte hain.

4: maafi

apne saathi ki khaamiyon ko nazarandaz karne ke liye aap kya kar sakte hain?

5: baatcheet

in teen sujhavon ko aazmane se aap apne bachchon ke kareeb aa sakte hain.

6: shiksha

kya bachchon ko sudhaarne se unhein yah lagega ki woh kisi laayak nahin?

7: usool

aapko apne bachchon ko kaun-se naitik usool sikhane chahiye?

8: achhi misal

agar aap chahte hain ki bachche aapki sunein to aap jaisa kehte hain, vaisa aapko khud bhi karna hoga.

9: aapki pehchan

naujavan apne usoolon ko maanne mein kaise atal reh sakte hain?

10: bharosemand

zimmedar insan banne ke liye zaroori hai ki aap mammi-paapa ka bharosa jeetein.

11: mehnatee

agar aap javani mein hi mehnat karna seekhein, to aap zindagi mein kaamyab ho paayenge.

12: lakshya

lakshya haasil karne se aapka khud par bharosa badhega, aapko achhe dost mileinge aur aap khush raheinge.

parivar ke liye aur bhi salah

bible ki salah maanne se aapki shaadishuda zindagi mein aur parivar mein khushhali aa sakti hai.