is jaankari ko chhod dein

unke vishvas ki misal par chaliye | yonatan

‘unke beech gehri dosti ho gayi’

‘unke beech gehri dosti ho gayi’

yuddh ka shorgul khatm ho gaya tha aur elah ghaati mein khaamoshi chhaayi hui thi. sainikon ki poori chhaavni mein dopahar ki halki-halki hava beh rahi thi. raja shaaool ne kuch aadmiyon ko apne tamboo mein bulaya tha. uska sabse bada beta, yonatan bhi aaya hua tha. unke beech ek javan charvaha poore josh se apna kissa suna raha tha. yah naujavan daavid hai aur shaaool uske ek-ek shabd ko bade dhyan se sun raha tha. lekin yonatan ko kaisa laga? use israel ki sena mein seva karte kai saal ho gaye the aur is dauran usne kai jang jeete the. magar aaj israeliyon ko jeet usne nahin balki daavid ne dilayi thi. daavid ne us lambe-chaude goliyat ko maar giraya tha! sab uski vaah-vaahi kar rahe the. kya yah dekhkar yonatan ko daavid se jalan hui?

iska javab jaankar shaayad aapko hairani ho. bible batati hai ki usne kya kiya, “daavid aur shaaool ki is baatcheet ke baad, yonatan aur daavid ke beech gehri dosti ho gayi aur woh apni jaan ke barabar daavid se pyar karne laga.” yonatan ne daavid ko apni sainik ki poshak yahaan tak ki apni kaman bhi de di. yah gaur karnevali baat hai kyonki woh ek achha teerandaz tha. aur-to-aur, in donon ne aapas mein dosti ka karar bhi kiya. unhonne ek-doosre se vaada kiya ki woh hamesha dost raheinge aur ek-doosre ka saath deinge.​—1 shamooel 18:1-5.

is tarah yonatan aur daavid ki dosti shuroo hui aur aage chalkar woh itne pakke dost bane ki bible mein unki dosti ki misal di jaati hai. yahova par vishvas rakhnevalon ke liye dosti bahot maayne rakhti hai. agar hum soch-samajhkar dost banayen, sukh-dukh mein unka saath dein aur unke vafadar rahein, to hum ek-doosre ka vishvas mazboot kar paayenge. (neetivachan 27:17) aaiye dekhein ki yonatan kis tarah ka dost tha aur hum usse kya seekh sakte hain.

unmein dosti kis vajah se hui?

yonatan ne pehli mulakat mein hi daavid se dosti kyon kar li? javab jaanne ke liye aaiye sabse pehle kuch baaton par dhyan dein. yonatan bahot hi mushkil daur se guzar raha tha. uska pita shaaool kitna badal gaya tha! ek vakt par woh namra, aagyakari aur yahova par vishvas rakhnevala raja tha. lekin ab woh ghamandi aur aagya na maannevala ban gaya tha.​—1 shamooel 15:17-19, 26.

shaaool ke swabhav mein yah badlav dekhkar yonatan ko zaroor dukh hua hoga, kyonki woh apne pita ke bahot kareeb tha. (1 shamooel 20:2) yonatan ko yah chinta bhi sata rahi hogi ki uske pita ki vajah se na jaane ab yahova ke chune huye raashtra par kya beetegi. kya israeli bhi apne raja ki tarah ban jaayenge aur yahova ki manzoori kho baitheinge? sach mein, woh samay vishvas rakhnevale yonatan ke liye bilkul bhi aasan nahin raha hoga.

in baaton se hum samajh paate hain ki yonatan ne javan daavid se dosti kyon ki. usne dekha ki daavid ka vishvas mazboot hai. jahaan shaaool ke sabhi sainik lambe-chaude goliyat ko dekhkar thar-thar kaanpne lage, vahin daavid bilkul bhi nahin ghabraya. daavid ka maanna tha ki woh yahova ke naam se jang ke maidan mein utar raha hai aur iske aage goliyat ke sabhi hathiyar kuch bhi nahin hain.​—1 shamooel 17:45-47.

yonatan ki soch daavid se milti-julti thi. kuch saal pehle ki baat hai. yonatan apne hathiyar dhonevale sainik ke saath dushmanon se ladne nikal pada tha. use poora yakeen tha ki woh donon akele hi sainikon ki poori chauki par hamla kar sakte hain aur unhein dhool chata sakte hain. use itna yakeen kyon tha? kyonki jaisa usne kaha, ‘yahova ke liye koi baat rukavat nahin hai.’ (1 shamooel 14:6) to dekha aapne, yonatan aur daavid mein kai baatein milti-julti thi: un donon ko yahova par poora vishvas tha aur woh usse bahot pyar karte the. yahi vajah thi ki un donon mein gehri dosti ho gayi. yah sach hai ki yonatan aur daavid mein bahot fark tha. yonatan ek shaktishali raajkumar tha aur uski umra 50 ke aas-paas thi, jabki daavid ek maamooli charvaha tha aur uski umra kareeb 20 saal thi, fir bhi ye baatein unki dosti mein rukavat nahin banin. *

yonatan aur daavid ne jo karar kiya tha, us vajah se unki dosti kaayam rahi. woh kaise? daavid jaanta tha ki yahova ne use israel ka agla raja chuna hai. kya usne yah baat yonatan se chhipaye rakhi? nahin. achhe dost ek-doosre se koi baat nahin chhipate, woh hamesha sach bolte hain. jab daavid ne yonatan ko yah baat batayi hogi, to use kaisa laga hoga? ho sakta hai, yonatan ne socha ho ki ek din woh raja banega aur jo galtiyaan uske pita ne ki thi, unhein woh sudharega. lekin ab yah jaankar ki woh nahin balki daavid raja banega, kya use dukh hua? bible is baare mein kuch nahin batati. magar itna zaroor batati hai ki yonatan vafadar tha aur usmein mazboot vishvas tha. yonatan saaf dekh sakta tha ki daavid par yahova ki pavitra shakti kaam kar rahi hai. (1 shamooel 16:1, 11-13) is vajah se woh daavid ke saath kiya karar nibhata raha. woh daavid ko apna dushman nahin, dost maanta raha. yonatan ki yahi khvahish thi ki yahova ki marzee poori ho.

yonatan aur daavid mein yah baat milti-julti thi ki un donon ko yahova par mazboot vishvas tha aur woh usse bahot pyar karte the

yonatan aur daavid ki dosti unke liye ek aasheesh saabit hui. hum yonatan ke vishvas se kya seekh sakte hain? yahi ki parmeshvar ke sevak sachchi dosti ki dil se kadar karte hain. yah zaroori nahin ki hamare dost hamari umra ke hon ya unki parvarish hamari jaisi hui ho. lekin agar unmein sachcha vishvas ho, to us dosti se hamara bahot bhala ho sakta hai. yonatan aur daavid ke saath aisa hi hua. unhonne kai maukon par ek-doosre ka hausla badhaya. aage chalkar unhein aur bhi hausle ki zaroorat padti, kyonki unki dosti ki zabardast pareeksha honevali thi.

kiske vafadar rahein?

shuroo-shuroo mein shaaool ko daavid se bahot lagav tha. usne daavid ko apni sena ka senapati bhi banaya. magar fir shaaool ko daavid se jalan hone lagi. afsos ki baat hai ki jis bhaavna ko yonatan ne apne andar badhne nahin diya, usi bhaavna ko shaaool ne apne dil mein panapne diya. darasal daavid ek-ke-baad-ek israel ke dushman palishtiyon par jeet haasil karta gaya. is vajah se sab log uske gun gaane lage aur uski izzat karne lage. israel ki kuch aurtein ne to yah geet bhi gaaya, “shaaool ne maara hazaron ko, daavid ne maara laakhon ko!” shaaool ko yah geet sunkar bilkul achha nahin laga. bible batati hai, “us din se shaaool har vakt daavid ko shak ki nigah se dekhne laga.” (1 shamooel 18:7, 9) use dar tha ki kahin daavid usse uska raajpat na chheen le. shaaool ka aisa sochna bilkul galat tha! yah sach hai ki daavid jaanta tha ki shaaool ke baad vahi israel ka raja banega. magar uske man mein kabhi yah khyal nahin aaya ki woh yahova ke abhishikt raja ko raajgaddi se hatakar khud raja ban jaaye.

shaaool ne ek aisi chaal chali jisse daavid yuddh mein maara jaata. lekin uski chaal naakam ho gayi. daavid yuddh-par-yuddh jeetta gaya aur uski aur bhi izzat ki jaane lagi. iske baad shaaool ne ghar ke sabhi sevkon aur apne sabse bade bete se daavid ko maar daalne ki baat ki aur unhein is saazish mein shaamil karne ki koshish bhi ki. zara sochiye, apne pita ka bartav dekhkar yonatan ka dil kitna chhalni ho gaya hoga! (1 shamooel 18:25-30; 19:1) ismein koi shak nahin ki woh apne pita ka vafadar tha, magar woh apne dost ka bhi vafadar tha. lekin ab jab in donon mein se kisi ek ke vafadar rehne ki baat aayi, to woh kiska saath deta?

yonatan ne apne pita se kaha, “hey raja, apne sevak daavid ke khilaf koi paap mat kar, kyonki usne tere khilaf koi paap nahin kiya hai balki hamesha teri bhalai ke liye hi kaam kiya hai. usne apni jaan hatheli par rakhkar us palishti ko maar daala tha aur is vajah se yahova ne poore israel ko shaandar jeet dilayi thi.” hairani ki baat hai ki is mauke par shaaool ne yonatan ki baat maan li aur shapath bhi khaayi ki woh daavid ki jaan nahin lega. lekin shaaool apne vaade ka pakka nahin raha. jab daavid ne israel ko aur bhi jeet dilayi, to shaaool jalan se is kadar bhar gaya ki usne daavid ko maar daalne ke liye us par bhaala feinka. (1 shamooel 19:4-6, 9, 10) daavid baal-baal bacha aur fir woh shaaool ke darbar se bhaag gaya.

kya kabhi aapko yah faisla karna pada hai ki aap kiske vafadar raheinge? yakeen maaniye, aisa karna aasan nahin hota. ho sakta hai, kuch log kahein ki aapko har haal mein apne parivar se vafa nibhani chahiye. lekin yonatan jaanta tha ki yah galat hai. uska dost daavid yahova ka vafadar aur aagyakari sevak tha, to bhala woh apne pita ka saath kaise de sakta tha! yonatan ne thaan liya tha ki woh yahova ka vafadar rahega, isliye usne daavid ka paksh liya. beshak yonatan sabse pehle yahova ka vafadar tha, magar dekha jaaye to woh apne pita ka bhi vafadar saabit hua. woh kaise? usne apne pita ki haan-mein-haan nahin milayi, balki uski galat soch sudharne ki koshish ki. agar hum bhi yonatan ki tarah vafadar rahein, to ismein hamara hi bhala hoga.

mushkil haalaat mein bhi vafadar raha

yonatan ne apne pita aur daavid ke beech sulah karvane ki ek baar fir koshish ki, lekin sulah karna to door, shaaool uski baat tak sunne ko taiyar nahin tha. is beech daavid chori-chhipe yonatan se milne aaya. usne apne buzurg dost ko apni chintayen batayin aur kaha, “meri maut bahot kareeb hai.” yonatan ne daavid se kaha ki woh shaaool se uski sulah karvane ki dobara koshish karega. iske baad woh teer chalakar daavid tak yah sandesh pahuncha dega ki woh ismein kaamyab hua hai ya nahin. yonatan ne daavid se sirf ek cheez maangi, usne kaha, “tu mere gharane ke saath vafadari nibhana, tab bhi jab yahova tere sabhi dushmanon ko dharti se mita dega.” daavid ne vaada kiya ki woh hamesha yonatan ke gharane ki dekhbhal karega.​—1 shamooel 20:3, 13-27.

yonatan ne shaaool se daavid ke baare mein achhi baatein kehne ki koshish ki, magar koi faayda nahin hua. shaaool aag-baboola ho gaya aur use “baagi aurat ki aulad” kaha. usne yah bhi kaha ki daavid se vafa nibhakar darasal yonatan apne parivar ki beizzati kar raha hai. usne use apne baare mein sochne ke liye kaha. shaaool ka kehna tha, “jab tak yishai ka woh beta zinda rahega tu raja nahin ban paayega aur tera raaj kaayam nahin rahega.” lekin yonatan ko apni chinta nahin thi. usne ek baar fir apne pita se minnat ki, “tu kyon uski jaan ke peechhe pada hai? usne aisa kya kiya hai?” shaaool apna aapa kho baitha. uski umra ho gayi thi, magar ab bhi usmein dam tha. usne apne bete par zor se bhaala feinka! lekin uska nishana chook gaya. apne pita ka bartav dekhkar yonatan bahot dukhi hua aur usse yah beizzati sahi nahin gayi. woh gusse se vahaan se chala gaya.​—1 shamooel 20:24-34, footnote.

yonatan ne saabit kiya ki woh swarthi nahin hai

agle din subah yonatan us maidan mein gaya jahaan daavid chhipa hua tha. jaisa usne daavid se kaha tha, usne teer chalakar ishara kiya ki shaaool ab bhi uski jaan ka dushman hai. fir yonatan ne apne sevak ko vaapas shahar bhej diya. ab maidan mein woh aur daavid hi the, unhein sirf thodi der ke liye baat karne ka mauka mila. donon dost khoob roye aur yonatan ne bhaari man se daavid ko vida kiya, jo ab se ek bhagode ki zindagi jeenevala tha.​—1 shamooel 20:35-42.

in mushkil haalaat mein yonatan ne saabit kiya ki woh sach mein vafadar hai aur swarthi nahin hai. shaitan sabhi vafadar logon ka dushman hai aur agar yonatan apne pita ki tarah taakat ya oahde ke peechhe bhaaga hota, to shaitan ko bahot khushi hoti. yaad rakhiye, shaitan is koshish mein laga hua hai ki insan sirf apne baare mein sochein aur apni ichhayen poori karein. usne hamare pehle maata-pita aadam aur havva ke saath yahi koshish ki aur woh kaamyab hua. (utpatti 3:1-6) lekin yonatan ke saath uski yah koshish naakam rahi. shaitan kitna kheej utha hoga! kya aap bhi shaitan ki koshishon ko naakam kareinge? aaj hum aise vakt mein ji rahe hain, jab swarth mahamari ka roop le chuka hai. (2 timuthiyus 3:1-5) kya hum yonatan ki tarah vafadar aur niswarth honge?

yonatan ek vafadar dost tha, isliye usne teer chalakar daavid ko khabardar kiya

“tu mera kitna azeez tha!”

shaaool daavid se is kadar nafrat karne laga ki uske sir par khoon savaar ho gaya. use jahaan bhi daavid ke hone ki khabar milti, woh turant apni sena ko ikattha karta aur use pakadne nikal padta. ek nirdosh insan ko khatm karne ka yah paagalpan dekhkar yonatan kitna laachar mehsoos kar raha hoga! (1 shamooel 24:1, 2, 12-15; 26:20) kya usne shaaool ke in abhiyanon mein hissa liya? gaur karnevali baat hai ki bible mein kahin is baat ka zikra nahin milta ki yonatan shaaool ke saath gaya tha. yonatan yahova aur daavid ka vafadar tha aur usne daavid se dosti ka karar kiya tha. is vajah se hum soch bhi nahin sakte ki woh shaaool ke in galat kaamon mein bhaageedar raha hoga.

yonatan ka apne dost ke liye pyar kabhi kam nahin hua. kuch vakt baad woh daavid se dobara milne horesh naam ki jagah gaya. horesh ka matlab hai, “ghana jangal.” yah jagah hebron se kuch kilometer door dakshin-poorab mein ek veeran aur pahadi ilake mein thi. yonatan ne apne dost se milne ka jokhim kyon uthaya? bible batati hai ki woh ‘yahova par daavid ka bharosa aur badhana’ chahta tha. (1 shamooel 23:16) usne yah bharosa kaise badhaya?

yonatan ne apne dost se kaha, “mat dar.” usne use yah bharosa bhi dilaya, “mera pita shaaool tujhe nahin pakad sakega.” yonatan ko itna bharosa kyon tha? woh isliye ki use yahova ke vaade par poora vishvas tha. yonatan ne daavid se kaha, “tu hi israel ka raja hoga.” kai saal pehle yahova ne bhavishyavakta shamooel ko yahi baat batane ka kaam saunpa tha aur ab yonatan daavid ko yaad dila raha hai ki yahova ke vaade bharose ke laayak hain, woh hamesha poore hote hain. lekin agar daavid raja banega, to yonatan kya karega? usne khud kaha, “main tujhse doosre darje par rahoonga.” yonatan mein kitni namrata thi! woh isi baat se khush tha ki woh daavid ke adheen rehkar seva karega, jo usse 30 saal chhota tha. yonatan ne aakhir mein kaha, “yah baat mera pita shaaool bhi jaanta hai.” (1 shamooel 23:17, 18) ji haan, shaaool bhi man-hi-man jaanta tha ki woh us aadmi se nahin jeet sakta, jise yahova ne israel ka agla raja chuna hai.

jab daavid nirash tha, tab yonatan ne uski himmat bandhayi

agle kuch saalon ke dauran daavid ne zaroor is ghatna ko baar-baar yaad kiya hoga aur yonatan ke saath hui us baatcheet ko apne dil mein sanjoye rakha hoga. aur kyon na ho, yah unki aakhiri mulakat jo thi! afsos, yonatan ki yah ichha poori nahin hui ki woh daavid se doosre darje par rahega.

yonatan apne pita ke saath israel ke kattar dushman palishtiyon se yuddh karne gaya. bhale hi uske pita ne bahot galtiyaan ki thi, magar yonatan ne hamesha yahova ki seva ko pehli jagah di thi, isliye woh saaf zameer ke saath yuddh kar saka. hamesha ki tarah is baar bhi yonatan ne poori vafadari aur bahaduri se jang ladi, fir bhi israel ke liye yah yuddh bhaari pad raha tha. shaaool ki dushtta is had tak badh gayi thi ki usne jaadoo-tone ka sahara liya, jo parmeshvar ke kaanoon mein ek gambheer apradh tha. is vajah se shaaool par yahova ki aasheesh nahin rahi. uske teenon bete jismein yonatan bhi tha, yuddh mein maare gaye. shaaool khud bhi buri tarah ghaayal ho gaya aur usne apni jaan le li.​—1 shamooel 28:6-14; 31:2-6.

yonatan ne kaha, “tu hi israel ka raja hoga aur main tujhse doosre darje par rahoonga.”​—1 shamooel 23:17

unki maut ki khabar sunte hi daavid ka kaleja chhalni ho gaya! usmein itni daya aur karuna thi ki usne shaaool ke liye bhi shok manaya, us insan ke liye jisne uska jeena doobhar kar diya tha. daavid ne shaaool aur yonatan ke liye ek shokgeet likha. ismein usne apne dost ke liye jiski woh bahot izzat karta tha, aise dil chhoo lenevale shabd likhe jo shaayad hi kisi aur ne likhe hon. usne kaha, “mere bhaai yonatan, tujhe khone ke gam se main bahot dukhi hoon, tu mera kitna azeez tha! mere liye tera pyar aurton ke pyar se kahin badhkar tha.”​—2 shamooel 1:26.

daavid yonatan se kiya apna vaada nahin bhoola. saalon baad usne yonatan ke bete mapeeboshet ko, jo pairon se laachar tha, dhoondh nikala aur uska khyal rakha. (2 shamooel 9:1-13) yonatan vafadar tha, apne vaadon ka pakka tha aur mushkil-se-mushkil haalaat mein bhi apne dost se vafa nibhana jaanta tha. ismein koi shak nahin ki daavid ne usse bahot kuch seekha hoga. kya hum bhi usse seekheinge? kya hum yonatan jaise logon ko apna dost banayenge? kya hum khud aise dost saabit honge? agar hum yahova par apne doston ka vishvas badhayen, sabse pehle yahova ke vafadar rahein aur apne swarth ke baare mein na sochein, to hum yonatan jaise dost saabit honge. yahi nahin, hum uske vishvas ki misal par bhi chaleinge.

^ para. 7 bible mein yonatan ka zikra sabse pehle tab aata hai, jab shaaool raja bankar hukoomat karna shuroo karta hai. us vakt yonatan israel ka senapati tha, to uski umra kam-se-kam 20 saal rahi hogi. (ginti 1:3; 1 shamooel 13:2) shaaool ne 40 saal tak raaj kiya, isliye jab uski maut hui, to yonatan kareeb 60 saal ka raha hoga. us vakt daavid ki umra 30 saal thi. (1 shamooel 31:2; 2 shamooel 5:4) iska matlab hai ki yonatan daavid se kareeb 30 saal bada tha.