is jaankari ko chhod dein

ichha mrityu ke baare mein bible kya batati hai?

ichha mrityu ke baare mein bible kya batati hai?

shastra se javab

ichha mrityu ya daya mrityu * ke baare mein bible mein seedhe-seedhe kuch nahin likha. lekin bible batati hai ki jeevan aur maut ke baare mein hamara nazriya kaisa hona chahiye. isse hamein pata chalta hai ki kisi ki jaan lena sarasar galat hai. lekin agar kisi vyakti ke bachne ki koi ummeed na ho, tab use lambe samay tak zinda rakhne ke liye ilaj karvate rehna zaroori nahin.

bible batati hai ki parmeshvar ne hi hum sabko “jeevan” diya hai. (bhajan 36:9; preshiton 17:28) uski nazar mein hamara jeevan bahot anmol hai. yahi vajah hai ki parmeshvar ko pasand nahin ki koi khud ki ya doosron ki jaan le. (nirgaman 20:13; 1 yuhanna 3:15) bible yah bhi batati hai ki hamein apne aur doosron ke jeevan ki hifazat ke liye ehtiyat baratna chahiye. (vyavasthavivran 22:8) zahir hai ki parmeshvar harek ke jeevan ko bahot anmol samajhta hai.

agar ek insan ko laailaj beemari ho, kya tab uski jaan lena sahi hai?

bible ke mutabik ek aise insan ki jaan lena galat hoga, jiske bachne ki koi ummeed nahin hai. israel ke raja shaaool ke saath jo hua, usse hum yah baat samajh sakte hain. woh ladai mein buri tarah ghaayal ho gaya tha aur aakhiri saansein gin raha tha. use itni takleef ho rahi thi ki usne apne hathiyar dhonevale sainik se kaha ki woh use maar daale. (1 shamooel 31:3, 4) lekin sainik ne inkar kar diya. baad mein ek aadmi ne parmeshvar ke sevak daavid ke saamne jhootha daava kiya ki usne shaaool ki ichha poori ki aur use maar daala. tab daavid ne us aadmi ko shaaool ke khoon ka doshi thehraya. usne aisa isliye kiya, kyonki woh jaanta tha ki kisi ki jaan lena parmeshvar ki nazar mein galat hai.​—2 shamooel 1:6-16.

kya ek insan ko zinda rakhne ki har mumkin koshish ki jaani chahiye?

haalaanki bible ke mutabik insan ko daya mrityu dena galat hai, lekin agar ek vyakti ki haalat bahot naazuk ho aur uske bachne ki koi ummeed na ho, kya tab bhi uska ilaj karvate rehna chahiye taaki kuch samay ke liye uski maut tal jaaye? bible mein aisa kahin nahin likha ki use kisi tarah zinda rakhne ki har mumkin koshish ki jaani chahiye. hum sabhi aparipoorna hain, jis vajah se hum sab ki maut tay hai. maut hamara sabse bada dushman hai. (romiyon 5:12; 1 kurinthiyon 15:26) lekin hamein maut se ghabrane ki bhi zaroorat nahin, kyonki parmeshvar ne vaada kiya hai ki woh mare huon ko zinda karega. (yuhanna 6:39, 40) jo vyakti apne jeevan ki kadar karta hai, woh beemar padne par achhe-se-achha ilaj karvayega. lekin iska yah matlab nahin ki agar use koi laailaj beemari hai aur uske liye ek-ek saans lena mushkil ho raha hai, to bhi use ilaj karvate rehna chahiye.

kya khudkushi karna aisa paap hai, jiski maafi nahin mil sakti?

bible aisa nahin kehti ki khudkushi karna aisa paap hai, jiski maafi nahin mil sakti. haalaanki yah bahot bada paap hai, * lekin parmeshvar jaanta hai ki ek insan ne kin haalaat mein khudkushi ki hogi. ho sakta hai ki uski maansik sthiti theek nahin thi, woh bahot chinta ya tanav se guzar raha tha ya kisi khaandani kamzori ki vajah se uske man mein khudkushi karne ki zabardast ichha uthi ho. (bhajan 103:13, 14) bible ke zariye parmeshvar maayoos logon ko dilasa deta hai. bible mein yah bataya gaya hai ki “achhe aur bure,  donon tarah ke logon ko mare huon mein se zinda kiya jaayega.” (preshiton 24:15) isse pata chalta hai ki jin logon ne khudkushi jaisa bada paap kiya hai, unke bhi zinda hone ki ummeed hai.

^ para. 1 ichha mrityu ko euthanasia bhi kaha jaata hai. vaad-vivad  naam ki kitab batati hai ki yah “zindagi ko khatm karne ka ek aisa tareeka hai jiske peechhe peedit ko takleef aur pareshani se mukti dilane ki mansha hoti hai.” kuch maamlon mein kuch mareez khud doctor se guzarish karte hain ki woh unhein dard se mukti dilane ke liye unki jaan le le.

^ para. 5 bible mein aise chand logon ke baare mein bataya gaya hai, jinhonne khudkushi ki. lekin woh sab aise log the, jo parmeshvar ke vafadar nahin rahe.​—2 shamooel 17:23; 1 raja 16:18; matti 27:3-5.