is jaankari ko chhod dein

kya shastra mein koi salah hai, jisse mera parivar sukhi ho sakta hai?

kya shastra mein koi salah hai, jisse mera parivar sukhi ho sakta hai?

shastra se javab

zaroor. is vishay par pavitra shastra bible mein kaafi badhiya salah di gayi hai, jis par chalne se laakhon parivaron mein khushiyaan aayi hain. udahran ke liye, neeche di kuch baaton par dhyan deejiye.

  1. shaadi kaanooni taur par maanya honi chahiye. kaanooni taur par shaadi karne par aap zindagi bhar ek-doosre ka saath nibhane ka vaada karte hain. yah vaada sukhi parivar ki buniyad ban jaata hai.—matti 19:4-6.

  2. pyar se pesh aaiye aur ek-doosre ka aadar keejiye. jis tarah aap chahte hain ki aapka saathi aapke saath pesh aaye, usi tarah aapko bhi uske saath pesh aana chahiye.—matti 7:12; ifisiyon 5:25, 33.

  3. kadve shabd mat boliye. pyar se baat keejiye, tab bhi jab aapka saathi kuch aisa kahe ya kare, jisse aapko dukh pahunche. (ifisiyon 4:31, 32) shastra mein likha hai, “narmi se javab dene par krodh shaant ho jaata hai, lekin chubhnevali baat se gussa bhadak uthta hai.”—neetivachan 15:1.

  4. ek-doosre ke vafadar rahiye. sirf apne jeevan saathi se romani pyar keejiye aur laingik rishta rakhiye. (matti 5:28) shastra mein likha hai, “shaadi sab logon mein aadar ki baat samjhi jaaye aur shaadi ki sej dooshit na ki jaaye.”—ibraniyon 13:4.

  5. apne bachchon ko pyar se sikhaiye. zaroorat se zyada chhoot mat deejiye aur na hi had-se-zyada sakhti bartiye.—neetivachan 29:15; kulussiyon 3:21.