is jaankari ko chhod dein

yahova ke sakshi apni upasna mein cross ka istemal kyon nahin karte?

yahova ke sakshi apni upasna mein cross ka istemal kyon nahin karte?

bahot-se logon ka maanna hai ki poori duniya mein cross hi maseehiyon ki pehchan hai. haalaanki yahova ke sakshi bhi maseehi hain, aur yeeshu ko maante hain, fir bhi woh upasna mein cross ka istemal kyon nahin karte?

pehla kaaran to yah hai ki khud bible kehti hai ki yeeshu ki maut cross par nahin balki lakdi ke ek seedhe latthe par hui thi. iske alava bible maseehiyon ko aagah karti hai ki “moortipooja se door bhaago.” apni upasna mein cross ka istemal karna moortipooja karne ke barabar hai.—1 kurinthiyon 10:14; 1 yuhanna 5:21.

gaur keejiye ki yeeshu ne sachche maseehiyon ki kya pehchan batayi thi. usne kaha: “agar tumhare beech pyar hoga, to isi se sab jaaneinge ki tum mere chele ho.” (yuhanna 13:34, 35) yeeshu ne zahir kiya ki doosron ki khaatir khud ko kurban kar denevala pyar hi uske sachche chelon ya shishyon ki pehchan hai, naa ki cross ya koi moorti.