is jaankari ko chhod dein

yahova ke sakshi christmas kyon nahin manate?

yahova ke sakshi christmas kyon nahin manate?

hamare baare mein failaye gaye jhooth

jhooth: kyonki yahova ke sakshi yeeshu ko nahin maante isliye woh christmas nahin manate.

sach: hum maseehi hain. isliye hum maante hain ki hamesha ki zindagi hamein sirf yeeshu maseeh ke zariye hi mil sakti hai.—preriton 4:12.

jhooth: aapke christmas na manane ki vajah se parivaron mein foot pad rahi hai.

sach: hum hargiz nahin chahte ki kisi ka parivar toote, isliye hum bible se logon ki madad karte hain taaki unka parivar aur mazboot banein.

jhooth: christmas ke us khushnuma maahaul ke baare mein aapko kya pata, kyonki aap to christmas manate hi nahin.

sach: hamari har roz yahi koshish rehti hai ki hum doosron ke saath mil-julkar rahein. hum khule dil se logon ko aksar tohfe dete hain. (neetivachan 11:25; romiyon 12:18) yeeshu ne sikhaya tha ki “tumne muft paaya hai, muft do.” isliye hum apni sabhaon mein aane ke liye logon se koi paisa nahin maangte aur hamara prachar kaam bhi muft hai. (matti 10:8) iske alava hum logon ko batate hain ki duniya mein sachchi shaanti parmeshvar hi laayega.—matti 10:7.

yahova ke sakshi christmas kyon nahin manate?

  • yeeshu ne hamein apni maut ka din manane ki aagya di thi naa ki apne janm ka din manane ki.—luka 22:19, 20.

  • jab yeeshu dharti par tha aur uske baad bhi uske preshiton aur shishyon ne kabhi christmas nahin manaya. the new catholic encyclopedia kehti hai “san 243 ke baad hi christmas manana shuroo hua.” is vakt tak yeeshu ke aakhiri preshit ki maut ko sau se bhi zyada saal beet chuke the.

  • is baat ka koi pukhta saboot nahin milta ki yeeshu ka janm 25 disambar ko hua tha aur bible bhi yeeshu ke janm ki koi taareekh nahin deti.

  • christmas ko parmeshvar manzoor nahin karta, kyonki is tyauhar ki shurooat aise dharmon se hui hai, jo yahova aur yeeshu ko nahin maante the.—2 kurinthiyon 6:17.

christmas ko naa manane ke baare mein itna sochne ki kya zaroorat hai?

bahot-se log jaante hain christmas ki shurooat jhoothe dharmon se hui hai aur bible ise manane ka badhava nahin deti, fir bhi log ise manate hain. aise log shaayad khud se kahein ki jab saari duniya christmas mana rahi hai to hamein kya padi hai ki hum sabse alag dikhein?

bible badhava deti hai ki hum apni “sochne-samajhne ki shakti” ka istemal karein. (romiyon 12:1, 2) yah hamein sikhati hai ki sachchai ke mutabik chalna bahot zaroori hai. hamein is baat se fark padta hai ki log hamare baare mein kya sochte hain magar, fir bhi hamare liye zyada zaroori hai ki hum bible ke mutabik jeeyen fir chahe log hamein thoda alag samjhein.

haalaanki hum christmas nahin manate, magar jab doosre manate hain to hum unke faisle ki ninda bhi nahin karte. har insan ko apne liye faisle karne ka hak hai aur hum is baat ki kadar karte hain. jab doosre christmas manate hain to hum usmein dakhalandazee nahin karte.