ayyoob 25:1-6

  • bildad ka teesra bhaashaan (1-6)

    • ‘insan parmeshvar ke saamne nirdosh kaise ho sakta hai?’ (4)

    • kaha, insan ke nirdosh hone ka faayda nahin (5, 6)

25  javab mein shoohi bildad+ ne kaha,   “raaj karne ka hak parmeshvar ko hai, uske paas zabardast shakti hai,woh swarg* mein shaanti kaayam karta hai.   kya uski senaon ko koi gin sakta hai? kaun hai jis par uski raushni nahin chamakti?   to fir nashvar insan uske saamne nek kaise ho sakta hai?+aurat se paida hua insan nirdosh* kaise ho sakta hai?+   jab use chaand ki chaandni feeki lagti hai,aasman ke taaron mein dosh nazar aata hai,   to bhala nashvar insan jo ek illi hai,insan jo ek keeda hai,uske saamne kaise shuddh thahar sakta hai?”

kai footnote

shaa., “unchi jagahon.”
ya “shuddh.”