is jaankari ko chhod dein

pavitra shastra doosron ki madad karne ke baare mein kya batata hai?

pavitra shastra doosron ki madad karne ke baare mein kya batata hai?

shastra se javab

shastra badhava deta hai ki hamein doosron ki madad karne ke liye taiyar rehna chahiye. lekin hamein aisa khushi-khushi aur sahi irade se karna chahiye. isse donon, lenevale ko aur denevale ko khushi milti hai. (neetivachan 11:25; luka 6:38) yeeshu ne kaha, “lene se zyada khushi dene mein hai.”—preshiton 20:35.

 kis tarah ki madad se parmeshvar khush hota hai?

jab hum doosron ki madad karne ke liye swechha se kuch dete hain, to isse parmeshvar khush hota hai. pavitra shastra bible mein likha hai, “har koi jaisa usne apne dil mein thaana hai vaisa hi kare, na hichkichate huye, na hi kisi dabav mein kyonki parmeshvar khushi-khushi denevale se pyar karta hai.”—2 kurinthiyon 9:7, footnote.

jab hum sahi irade se zarooratmandon ki madad karte hain, to parmeshvar hamari “upasna” manzoor karta hai. (yakub 1:27) parmeshvar aise vyakti se khush hota hai jo doosron ki madad karta hai aur udarta se deta hai. uski nazar mein aisa vyakti use udhaar de raha hai. (neetivachan 19:17) bible batati hai ki parmeshvar khud use inam dega.—luka 12:12-14.

 kis tarah ki madad se parmeshvar khush nahin hota?

jab koi insan apne faayde ke liye doosron ki madad karta hai. jaise:

agar hamare dene se aisi aadaton aur aise kaamon ko badhava milta hai, jo parmeshvar ko manzoor nahin. misal ke liye, us insan ko paise dena sahi nahin hoga jo unse jua khele, drugs le ya sharab peeye. (1 kurinthiyon 6:9, 10; 2 kurinthiyon 7:1) usi tarah, un logon ko bhi paise dena galat hoga jo khud ka kharch utha sakte hain, magar aisa nahin karte.—2 thisslunikiyon 3:10.

agar hamare dene se parmeshvar ki di zimmedari mein rookavat aaye. bible sikhati hai ki ghar ke mukhiya ko apne parivar ki zarooratein poori karni chahiye. (1 timuthiyus 5:8) agar woh doosron ki bahot madad kare aur daan de, lekin is vajah se uska parivar tanghali jhele, to yah sahi nahin hoga. jab yeeshu dharti par tha to usne bhi aise logon ko dhikkara jo apne boodhe maata-pita ki zimmedari nahin uthate the aur kehte the ki unki saari sampatti “parmeshvar ke liye rakhi gai bheint” hai.—markus 7:9-13.